Thursday, February 4, 2010

janaa'n

Dil main darakhshan tera khayal hai janaa'n
Ab tu har ik shab shab-e-wasaal hai janaa'n

Tujh se mere haslon ne pai hai shurat
Mera nahi ye tera kamaal hai janaa'n

Teri bhi chup main kai jawab chupe hain
Meri bhi har sans ik sawal hai janaa'n

Tu hai sitamgar bahot agarch ye sach hai
Main ye kahon kya meri ye majal hai janaa'n

Jo tere pehloo main ho woh mout bhi rahat
Tujh se alag zindagi wabal hai janaa'n

Yun tu hain shikwaye bahot qateel ko tujh se
Tark-e-tahaluq magar mohaal hai janaa'n

Qateel Shifai

Tuesday, February 2, 2010

andhera zehan ka simte safara jab khone lagta hai
kisi ka dhyaan aata hai ujala hone lagta hai

kisi ne rakh diye mamta bhare do hath jo sar per
mere andar koi bachha bilakh ke rone lagta hai


yeh dua hai koi gila nahi,
meri zindagi mere hamnasheen
jo gulaab abhi khila nahi

main ye sochta hun k khuda karay,
tujhay zindagi mai woh sukh milay
jo mujhay kabhi mila nahi

Sher (2 lines)

khata to jab ho ki hum haal-e-dil kisi se kahein
kisi ko chahte rehna koi khata to nahin

Dil tujhe rooh se paanay ka talabgaar hai warna
Jism biktay hain tere sath k kuch damo'n main... !!!


maaloom ye huvaa ke wo raste ka saath thaa
manzil kareeb aayii to ham duur ho gaye

manzoor kab thii hamko watan se ye duuriyaaN
haalaat ki jafaaoN se majbuur ho gaye


mujh pe apna jurm sabit ho na ho laikin faraz
log kehtey hain k us ko bewafa main ne kiya


Mere mehboob ne wada kya hain paanchve din ka
Kisi se sun liya hoga ke duniya chaar din ki hain.


sun liya hum nay faisla tera, aur sun kar udaas ho baithey.

zehan chup chaap aankh khaali hy, jaisey hum kainaat kho baithey...


Bina libaas aaye the hum sab is jahaan me,
Bas ik kafan ki khatir itna safar karna pada


kahin taweel na ho apni chahaton ka safar
suna hai ahl-e-talab umer bhar taraptey hain

Monday, February 1, 2010

Andaz apna dekhte hain Aayene main wo,
Aur ye bhi dekhte hain koi dekhta na ho...

Apni dua main sirf mujhe maangte hain wo,
Aur ye bhi maangte hain koi mangta na ho


Mujhe pata hai mujh se karte hain pyaar wo
Phir bhi najane kahne se kyu darte hain wo

Hr lamha mere bare me hi sochte hain wo
Aur ye bhi sochte hain koi sochta na ho

Bus mujh ko dil o jan se hi chahte hain wo
Aur ye bhi chahte hain koi chahta na ho...

Ijazat hai...

Tumhain jaan'na ijazat hai, Koi bhi rasta chun lo
Humaray muntazir tehro, Ya hum ko alwida keh do

Humaray paoon main to, Waqt ki zanjeer liptii hai
Qabal is ke, ki thak jaoo,Humare saath chal k tum

Mohabbat ki thakawat tum ko, Hum se bad-guman kar de
Qabal is ke, ki har aik, Har aik wapsi ki raah khoo jaye

Jo socha bhi nahi hum ne, Wohi kal ko jo ho jaye
Tumhain jaan'an ijazat hai, Koi bhi faisla kar lo
Humaray muntazir tehroo, Ya hum ko alvida keh do

Humara tum se wada hai, Tumhari yaad ko hum
Sada dil k dareechay main, Yun he aabad rakkhen ge

Tumhe hum yaad rakkhen ge, Tumhe jaana'n ijazat hai

Tum apnay hauslon main jub, Thakawat see kabhi paoo
Kisi pyare say mukhray ki, Haseen aankhon me kho jaoo

Ijazat hai tumhain jaa'nan, Agar is pal jo tum chahoo
Koi bhi faisla kar lo, Humaray muntazir tehroo
Ya hum ko alvida keh doo......................!!

Suno.....

Suno…….!,
Aisa nehin karte
Jis dil me rehte hain, usse tora nehin karte
Bina jis k na ji payen, Use chora nehin karte

Suno…….!,
Kuch dair ruk jao,Koi tadbeer kar lenge,
Jo khwab vaham se hain, Unhe tabir kar lenge
Bina tere ye jiwan hum, ‘kaho kaise bitaain ge

Suno……..!, Tum yaad aao gaye
To bohat khud ko rulain ge

Suno………!, Jab dard hoga tu
Tarap kar maar hi jain gaye
Suno………!
mohobbat k safar may koi sath nahi deta
zameen waqif nahi nanhi,falak saya nahi deta

khushi or dukh k mosam sub ke apne hote
hain kisi ko apne hissay ka koi lamha nahi deta

udaasi jis ke dil may ho ussi ki neend urrti hay
kisi ko apni aankhon say koi sapna nahi deta

othana khud hi parta hay thakha toota badan apna
ki jub tak saans chalti hay koi kaandha nahi deta.


मोहोब्बत के सफ़र में कोई साथ नहीं देता
ज़मीन वाकिफ नहीं नन्ही, फलक साया नहीं देता

ख़ुशी और दुःख के मोसम सब के अपने होते
हैं किसी को अपने हिस्से का कोई लम्हा नहीं देता

उदासी जिस के दिल में हो उसी की नींद उड़ती है
किसी को अपनी आँखों से कोई सपना नहीं देता

उठाना खुद ही परता है तहखा टूटा बदन अपना
की जब तक सांस चलती है कोई कंधा नहीं देता .

My name

Too mera nam na poocha ker
Main teri zaat ka hisa hon
Main teri soch main shamil hon
Main teri neend ka qissa hon
Main teray khab ka hasil hon
Main teri yaad ka mehwer hon
Main teri sans ka jhonka hon
Too manzer ,main pas manzer hon
Main lamha hon,main jazba hon
Jazbay ka koi naam nahi
Too mera naam na poocha ker.

तू मेरा नाम न पुछा कर,
मै तेरी ज़ात का हिस्सा हूँ
मै तेरी सोच में शामिल हूँ,
मै तेरी नींद का किस्सा हूँ
मै तेरे ख्वाब का हासिल हूँ,
मै तेरी याद का माहवार हूँ,
मै तेरी सांस का झोंका हूँ,
तू मंजर, मै पास मंजर हूँ
मै लम्हा हूँ मै ज़ज्बा हूँ,
जज्बे का कोई नाम नहीं होता
तू मेरा नाम न पूछा कर